Pages

Friday, June 2, 2017

Tum par roze farz kiye gaye hain


Bismillahirrahmanirrahim

Roze Ki Niyyat


Bismillahirrahmanirrahim

Thursday, June 1, 2017

Woh cheezein jin se rozah makrooh nahin hota


Bismillahirrahmanirrahim

Woh cheezein jin se rozah makrooh nahin hota

1) Surma lagana.
Ref: (Shaami: 7/395, Baabu Maa Yufsidus Saum)

2) Badan par tel malna ya sar mein tel daalna.
Ref: (Shaami: 7/395, Baabu Maa Yufsidus Saum)

3) Thandak ke liye gusl karna.
Ref: (Shaami: 7/48, Baabu Maa Yufsidus Saum)

4) Miswaak karna agarche taazi ya tar shaakh ki ho.
Ref: (Shaami: 7/481, Baabu Maa Yufsidus Saum)

5) Kushbu lagaana ya soonghna.
Ref: (Shaami: 7/474, Baabu Maa Yufsidus Saum)

6) Bhoole se kuchh kha pee lena.
Ref: (Shaami: 7/390, Baabu Maa Yufsidus Saum)

7) Khud ba khud bila qasd qaye ho jaana, kam ho ya ziyaada ek martaba ho ya thodi thodi kai martaba ho.
Ref: (Shaami: 7/416, Baabu Maa Yufsidus Saum)

8) Apna thook nigalna.
Ref: (Shaami: 7/413, Baabu Maa Yufsidus Saum)

9) Bila qasd makkhi ya dhuyein ka halaq se utar jaana.
Ref: (Shaami: 7/394, Baabu Maa Yufsidus Saum)

♡ In tamaam cheezon se rozah na toot'ta hai aur na hi makrooh hota hai.

Rozah


Bismillahirrahmanirrahim

Subah Saadiq se lekar guroob-e-aaftaab tak ibaadat ki niyyat se khaane peene aur nafsaani khwaahishaat (sohbat) se ruke rehne ka naam " Rozah" hai. (Shaami: 7/312, Kitaabus Saom)

Arabi zabaan mein rozah rakhne ko "Saom" aur rozah kholne ko "Iftaar" kehte hain.

Roze ke Mustahabbaat


Bismillahirrahmanirrahim

1) Sooraj guroob hone ke baad iftaar mein jaldi karna. (Bukhari: 1957)

2) Khajoor se iftaar karna, agar khajoor na ho to paani se iftaar karna. (Tirimizi: 695)

3) Iftaar ke waqt dua karna. (Ibne Maaja: 1753)

4) Sehri karna. (Bukhari: 1923)

5) Sehri karne mein taakheer karna. Albatta itni taakheer na karna ke subah saadiq ho jaane ka shak ho jaaye. (Tabraani Sageer: 279)

6) Subah Saadiq se qabl hi janaabat wagaira ka gusl kar lena taake tahaarat ki haalat mein rozah mukammal ho. (Shaami: 2/400, Baabu Maa Yufsidus Saom Wamaa La Yufsiduhu)

7) Kasrat se Qur'an ki tilaawat karna. (Bukhari: 6)

8) Kasrat se sadqa wa khairaat karna. (Bukhari: 6)

9) Jhoot, geebat, chugal khori aur gaali galoch se apni zabaan ki hifaazat karna. (Bukhari: 1903)

10) Lazzat bakhsh cheezon se apne nafs ko bachaana, chaahe woh halaal hi kyun na ho.

Iftaar ki Duaa


Bismillahirrahmanirrahim

Iftaar ki Duaa

Saturday, July 18, 2015

Eid-ul-Fitr ke sunnatein aur Namaz-e-Eid ka Tareeqa


Bismillahirrahmanirrahim